Eternal Bliss

Monday

SAFAR-E-LAHASAL

..












Roshni ki talash main,
Khali deewar per diya jalanay say acha...
Aisa kurtay hain khood hee jal jatay hain..

Andheray raastoon ka safar
apna muqqader thehra...
hum roshni ki naveed say bhi dar jatay hain...

Iss qufss main ghuttan hoty hai,
azad tunhayee say bhi khouf aata hai...
sou hum apnay sayaad kay rooburoo

moom kay jaisay pighal jatay hain...

RAAstoon ka pata nahin,
phir bhi manzil ki talash main
hum aabla paa dusht nawayee

pay nikal jatay hain,,

Aisi khana badoshi ki aadat hai....
Hum sitaroon per apna mehel to nahin
burf per ghar ki tasweer buna laitay hain...


Duniya hum say iss baikhood baihoshi,
ka hisaab maangty hai..
hum too khuwaboon ki hawas main..
sirf palkain moondain reh jaatay hain....

yeh kaisa dour hai zeest ka..
saans laina hai boujhal...
or zinda rehna uss say bhi mushkil..
sou aisa kartay hain kay mar jaatay hain....

Posted by sebia :: 5:15 AM :: 22 Comments:

Leave A Comment

---------------oOo---------------